Meetha Paani Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Meetha Paani Song Lyrics is a track from Suryaa Hindi Film-2026, Starring Sunny Deol, Ravi Kishan, Pragya Jaiswal, Tinu Anand and Others. This song was sung by Sonu Nigam. Music was composed by Uttam Singh and lyrics work penned by Sunil Sirvaiya.

 

 

 

 

Music : ……………….

 

Male : Aa aa
Muddaton se mere dil ne
Teri yaad ko sajaye rakha
Meri rooh ne ek rishta
Tere naam se banaye rakha

 

Male : Jaane kya jaadu hai tera
Sar pe ye chadh gaya
Sarphira ishq tha mera
Aur bhi badh gaya

 

Male : Teri baatein meetha paani
Main to peeta rahun
Teri aankhen zindagaani
Main to jeeta rahun

 

Male : Jaane kya jaadu hai tera
Sar pe ye chadh gaya
Sarphira ishq tha mera
Aur bhi badh gaya

Music : .……………….

 

Male : Mishri ghole chupchup bole
Teri ye saugaatein
Mere naseeb mein likh di tere
Pyaar ki ye barsaatein

 

Male : Mere naam ka joda pehne
Mere ghar tu aaye
Isi ummeed pe mere yaara
Dil bhi kuch kar jaaye

 

Male : Teri baatein meetha paani
Main to peeta rahun
Teri aankhen zindagaani
Main to jeeta rahun

 

Male : Jaane kya jaadu hai tera
Sar pe ye chadh gaya
Sarphira ishq tha mera
Aur bhi badh gaya

 

Music : ……………….

 

Male : Teri meri yaari yaara
Chhode se chhoote na
Apne rishte ki ye dori
Tode se toote na

 

Male : Kuch bhi ho jaaye par jaanu
Itna hi main kahunga
Tere bulaane se pehle main
Tere paas rahunga

 

Male : Teri baatein meetha paani
Main to peeta rahun
Teri aankhen zindagaani
Main to jeeta rahun

 

Male : Jaane kya jaadu hai tera
Sar pe ye chadh gaya
Sarphira ishq tha mera
Aur bhi badh gaya

 

Male : Jaane kya jaadu hai tera
Sar pe ye chadh gaya
Sarphira ishq tha mera
Aur bhi badh gayaaaa….

Song Details

Official Video

Share this song:

More from Suryaa