LYRIC

Singers : Lata Mangeshkar and Udit Narayan

Music by : Uttam Singh

Male : Hmm ….
Bholi si surat aankhon mein masti aaye haaye

Male : Arre bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye aaye haaye
Ek jhalak dikhlaye kabhi
Kabhi anchal mein chhup jaaye aaye haaye
Meri nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye

Male : Bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye
Chorus : Aaye haaye
Male : Ek jhalak dikhlaye kabhi
Kabhi anchal mein chhup jaaye
Chorus : Aaye haaye
Meri nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye

Male : Bholi si surat aankhon mein masti aaye haaye

Female : ………………………

Male : Hmmmm mmm
Ladki nahi hai woh jaadu hai aur kaha kya jaaye
Raat ko mere khwaab mein aayi
Woh zulfein bikhraye
Aankh khuli to dil chaaha
Phir neend mujhe aa jaaye
Bin dekhe yeh haal hua dekhoon to kya ho jaaye

Male : Bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye
Chorus : Aaye haaye
Male : Ek jhalak dikhlaye kabhi
Kabhi anchal mein chhup jaaye
Chorus : Aaye haaye
Meri nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye

Male : Bholi si surat aankhon mein masti aaye haaye

Female : …………………………..

Male : Hmmm…mmm…
Sawan ka pehla baadal uska kajal ban jaaye
Mauj uthe sagar mein jaise aise kadam uthaye
Rab ne jaane kis mitti se uske ang banaye
Chham se kash kahin se mere
Samne woh aa jaaye

All : Bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye Female : Aaye haaye
All : Ek jhalak dikhlaye kabhi
Kabhi anchal mein chhup jaaye
Female : Aaye haaye
Male : Meri nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye

All : Bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye Female : Aaye haaye
Male : Aaye haaye!…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT