Chura Loon Saare Taare Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Chura Loon Saare Taare Song Lyrics is a track from Single Papa Netflix series -2026, Starring Kunal Kemmu, Manoj Pahwa, Ayesha Raza, Prajakta Koli and Others. This song was sung by Aman Pant. Music was composed by Aman Pant and lyrics work penned by Akhil Tiwari.

 

Male : Raahon mein mod pe baahein khol ke
Khwaahishein khadi
Hansti hai bol ke
Na jaane kya? bolti
Khushiyan kahaan tolti
Lafzon mein rang gholti

 

Male : Aadha sa vaada
Ya aadhe se zyada
Reh hi gaya woh
Adhoora-adhoora sa

 

Male : Chura loon saare taare
Hain aasma jo sambhaale
Mutthi mein kas ke pakad loon
Kar doon main tere havaale

 

Male : Chura loon saare taare
Hain aasma jo sambhaale
Mutthi mein kas ke pakad loon
Kar doon main tere havaale

 

Male : Palkon se leke haraarat
Chanda wahaan pe saja doon
Ho neend mein gehri jab tu
Chupke se baadal uda doon

 

Male : Tere zikr mein teri fikr mein
Saari umar main laga doon
Gham ko main bhatka ke
Raste bhula doon
Khushiyon ko tera pata doon

 

Male : Ab na ganwaara
Tere bin guzaara
Sab hai mila gar
Jo saath tera hai mila

 

Male : Chura loon saare taare
Hain aasma jo sambhaale
Mutthi mein kas ke pakad loon
Kar doon main tere havaale

 

Male : Chura loon saare taare
Hain aasma jo sambhaale
Mutthi mein kas ke pakad loon
Kar doon main tere havaale

 

Male : (Chura loon saare taare
Hain aasma jo sambhaale
Mutthi mein kas ke pakad loon
Kar doon main tere havaale)

Song Details

Official Video

Share this song: