LYRIC

Singers : Lata Mangeshkar and Udit Narayan

Music by : Madan Mohan and Sanjeev Kohli

Male : Lehrati huyi raahein
Khole huye hain baahein
Yeh hum aa gaye hain kahan

Female : Palkon pe gehre halke
Hain reshmi dhund halke
Yeh hum aa gaye hain kahan

Male : Aa yeh hum aa gaye hain kahan

Male : Woh dekho zara parbaton pe ghatayein
Hamari dastan haule se sunayein

Female : Suno to zara yeh phoolon ki vaadi
Hamari hi koyi kahani hai sunati

Male : Sapnon ke is nagar mein
Yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aa gaye hain kahan..

Female : Aahhh… yeh Hum aa gaye hain kahan..

Female : Jo raahon mein hai rut ne sona bikhera
Sunehra hua tera mera savera

Male : Zameen so gayi barf ki chaadron mein
Bas ik aag si jalti hai do dilon mein

Female : Hawayein sansanayein..badan kaanp jayein
Yeh hum aa gaye hain kahan..

Male : Aaahhh… yeh Hum aa gaye hain kahan..

Male : Yeh barsaat bhi kab thame kaun jaane

Female : Tumhein mil gaye pyar ke sau bahane

Male : Sitaron ki hai jaise baraat aayi

Female : Hamare liye raat yoon jagmagayi

Male : Sapne bhi jhilmilayein

Female : Dil mein diye jalayein

Male : Yeh hum aa gaye hain kahan

Female : Yeh hum aa gaye hain kahan

Both : Haan yeh hum aa gaye hain kahan ..aa.aa


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT