Dil Hamara Hua Hai Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Sarse Sarak Gayi Song Lyrics is a track from Albela Hindi Film – 2001, Starring Jackie Shroff, Govinda, Aishwarya Rai, Namrata Shirodkar, Saeed Jaffrey and Others. This song was sung Alka Yagnik and Hariharan. Music was composed by Jatin – Latit and lyrics work penned by Rani Malik.

 

Female : Dil hamaara hua hai kisi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Kaisa aalam hai yeh bekhudi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka

 

Male : Dil hamaara hua hai kisi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Kaisa aalam hai yeh bekhudi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka

 

Female : Hum paraaye hue ek mulaaqaat mein
Baat aage badhi baat hi baat mein
Hum paraaye hue ek mulaaqaat mein
Baat aage badhi baat hi baat mein
Bekhabar ho gaye jab mili yeh nazar
Jaan aur dil pe hua hai yeh kaisa asar
Rukh badalne laga zindagi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka

 

Male : Unse jab tak hamein yun mohabbat na thi
Itni duniya kabhi khoobsurat na thi
Unse jab tak hamein yun mohabbat na thi
Itni duniya kabhi khoobsurat na thi
Dil ka aana kahe, dil ka jaana kahe
Aisi deewangi ko bhalaa kya kahe
Rang hai har taraf aashiqui ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka
Female : Dil hamaara hua hai kisi ka

 

Song Details

Official Video

Share this song:

More from Albela