Chaand Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Chaand Song Lyrics is a track from Pehla Pyaar Doosri Baar Hindi Film -2026, Starring Sparsh Walia, Alisha Chopra, Kunal Vaid, Sakshi Vaidya and Others. This song was sung by Faheem Abdullah. Music was composed by Rochak Kohli and lyrics work penned by Gurpreet Saini.

 

 

 

 

Music : ………………

 

Male : Chaand chadh jaaye ya tu nazar aaye
Aafton ki duniya mein kuch sabr aaye
Mujhe teri baahon mein ho karar aisa
Ke barson ke gaye ho jaise ghar aaye

 

Male : Kasmein khila doon main ghadiyan chhupa doon main
Laut na tu jaaye kahin wajah mita doon main
Tere hi khayalon mein kab se lapata hoon main
Apni wafayein saari tujh pe luta doon main

 

Male : Kaat nahi kat-te din tere pyaar mein
Doob raha hoon main teri yaadon ke aabshar mein
Zaalima yun roz ka tera aana-jaana chhod tu
Toot hi na jaaye mera dil intezaar mein

 

Male : Chaand chadh jaaye ya tu nazar aaye
Aafton ki duniya mein kuch sabr aaye
Mujhe teri baahon mein ho karar aisa
Ke barson ke gaye ho jaise ghar aaye

 

Male : Beh jayega sambhal jayega
Yeh dil toh kahin bhi lag jayega
Magar ruh ko aaram woh jo tujhse mila
Meri jaan woh kahin bhi na mil payega

 

Male : Itna hi chahoon bas tujhko mana loon main
Main tera ho jaaun tujhe apna bana loon main
Tere saath duniya basane ki hai aarzoo
Tu jo maan jaaye saari khushiyan mana loon main

 

Male : Chaand chadh jaaye ya tu nazar aaye
Aafton ki duniya mein kuch sabr aaye
Mujhe teri baahon mein ho karar aisa
Ke barson ke gaye ho jaise ghar aaye
Barson ke gaye ho jaise ghar aaye
Barson ke gaye ho jaise ghar aaye

Song Details

Official Video

Share this song:

More from Pehla Pyaar Doosri Baar