LYRIC

Music By : Baman-Chand

Singers : Armaan Malik

Male : Zindagani ke lamhon ko tere naam kar diya
Zindagani ke lamhon ko tere naam kar diya
Khud ko teri hi khatir badnaam kar diya
Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi
Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi (x2)

Male : Har pal yeh dil yaad tujhe karta rehta hai
Har pal tere sapne ye dekha karta hai
Maana tumne raaste apne badal diye
Yeh bechara beete kal mein hi rehta hai

Male : Aakhiri saans ko bhi tere naam kar diya
Aakhiri saans ko bhi tere naam kar diya
Khudko tere hi khaatir nakaam kar diya
Badnamiyan mili, tanhaiyaan badhi
Badnamiyan mili, tanhaiyaan badhi

Male : Main teri aankhon mein dekhta hoon khudko

Male : Main teri aankhon mein dekhta hoon khudko
Tumko kya dikhta hai, meri nazron mein kaho

Male : Dekhte chaahte, subah ko shaam kar diya
Dekhte chaahte, subah ko shaam kar diya
Khud ko teri hi khatir qurbaan kar diya

Male : Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi
Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi

Male : Zindagani ke lamhon ko tere naam kar diya
Zindagani ke lamhon ko tere naam kar diya
Khud ko teri hi khatir badnaam kar diya

Male : Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi
Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi


Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT