LYRIC

Music By : Vishal-Shekhar

Singers : Jyoti Nooran

Male : Meri umeed na tooti
Na hausla mera toota
Natkhat aankho ka
Panghat aankho ka
Sookha hai bas tu jo rootha
Tu rootha..

Male : Paana tha maine jo paya na paya na ki
Khule darwaze rakhaan
Rakhaan main daron pe ankhan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Male : Khulle darwaze rakkha
Rakkha main taaron pe aankha
Aaya na, aaya na, aaya na tu (x3)

Male Chorus : Aaa…

Male : Main tanha bhatakta hoon
Mushkil ko hal karde
Jeena zamaane mein
Tu zara sa hal karde

Male : Akhbaron mein bhi khushi ki
Khabar na miley
Laakhon sajdon se dil ko
Sabar na mile

Male : Mud mud dekhu main
Kya tha kya hoon main
Hathon se apne hi chhoota, main toota

Male : Tere bin jaane na koi bhi, mere dil ki
Dukh na kisi ko dassaan
Sachha rowan jhutha hassan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Male : Dukh na kisi ko dassaan
Sachha rowan jhutha hassan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Male : Hathon ki lakeeren dekha
Rahein dheere dheere dekha
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Male : Ho tumse agar-che toh
Kismat badal de tu
Mere muaamle mein
Aa zara dhakhal de tu

Male : Paani paanchon driyaaon mein hai
Kam ho raha
Tere hone ka yakeen hai
Bharam ho raha

Male : Chhod tadapna main
Kab tak sapna main
Dekhunga bolo
Toota, main toota

Male : Mera kyun saathi na saya na tere hote
Haathon ko uthai jaawan
Rowan ya main gaayi jaawan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Male : Hathon ki lakeeren dekha
Rahein dheere dheere dekha
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Male : Dukh na kisi ko dassaan
Sachha rowan jhutha hassan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Male : Aaya na tu… (x3)


Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT