Sajan Sajan Teri Dulhan Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Sajan Sajan Teri Dulhan Song Lyrics is a track from Aarzoo Hindi Film – 1999, Starring Akshay Kumar, Madhuri Dixit, Saif Ali Khan, Paresh Rawal, Amrish Puri and Others. This song was sung Alka Yagnik. Music was composed by Anu Malik and lyrics work penned by Anand Bakshi.

 

Female : Chandni rat taro ki barat hai
Dil ki mehfil sajane mein
Kya der hai kya der hai
Dhadkane dil ki shehnaiya ban gayi
Abb toh sajan ke aane mein
Kya der hai kya der hai

Female : Meri zindagi mera pyar yad aa raha hai
Aanewala hai jo woh yad aa raha hai
Sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
Aakar mere hatho mein mehndi tu hi racha ja
Sajan sajan teri dulhan
Tujhko pukare aaja
Aakar mere hatho mein
Mehndi tu hi racha ja
Aa ja aa ja aa ja

 

Female : Ohh Alka Yagnik & Kumar SanuMeri zindagi mera pyar yad aa raha hai
Aanewala hai jo woh yad aa raha hai
Sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
Aakar mere hatho mein
Mehndi tu hi racha ja
Aa ja aa ja aa ja

 

Female : Payal kajal kangan daman sare tujhe bulaye
Aa ja sajan aa ja tere apne tujhe bulaye
Aa ja aa ja sajan aa ja
Mere mehbub mere hamsafar
Tujhko kya pata hai tujhe kya khabar
Ehsan tere kitne hai mujhpar
Rab pe yakin hai jitna utna hai tujhpar
Aa ja aa ja aa ja

 

Female : Mera mehbub mera sanam aa raha hai
Ham toh marhi chuke the
Phir janam aa raha hai
Sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aa ja
Aakar mere hatho mein
Mehndi tu hi racha ja
Aa ja aa ja aa ja

 

Female : Chunri meri rangin huyi hai
Tere rang se sajan
Aakar rang de mera
Ang ang apne rang se sajan
Aa ja aa ja sajan aa ja
Tumse wafaye bahut main karungi
Kasam teri abb yeh dil kisi ko na dungi
Aa tujhe bata du mere dil mein kya hai
Dil lenewale tujhe jaan apni dungi
Aa ja aa ja aa ja

 

Female : Dhadkane badh rahi hai,
Woh karib aa raha hai
Khushnasibi banke mera
Woh nasib aa raha hai
Sajan sajan teri dulhan
Tujhko pukare aa ja
Aakar mere hatho mein
Mehndi tu hi racha ja

 

Female : Chandni raat taro ki barat hai
Dil ki mehfil sajne mein
Kya der hai kya der hai
Dhadkane dil ki shehnaiya ban gayi
Abb toh sajan ke aane mein
Kya der hai kya der hai

 

Song Details

Official Video

Share this song:

More from Aarzoo