Jhoka Hawa Ka Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Jhoka Hawa Ka Song Lyrics is a track from Hum Dil De Chuke Sanam Hindi Film – 1999, Starring Salman Khan, Ajay Devgn, Aishwarya Rai and Others. This song was sung Hariharan and Kavita Krishnamurthy. Music was composed by Ismail Darbar and lyrics work penned by Mehboob.
Male : Aa
Male : Jhonka hawa ka aaj bhi
Zulfein udaata hoga na
Tera dupatta aaj bhi tere
Sar se sarakata hoga na
Baalon mein tere aaj bhi
Phool koi sajta hoga na
Male : Thandi hawaayein raaton mein tujhko
Thapkiyan deti hongi na
Male : Chaand ki thandak khwaabon mein tujhko
Leke to jaati hogi na
Suraj ki kirnein subah ko teri
Neendein udaati hogi na
Mere khayalon mein sanam
Khud se hi baatein karti hogi na
Main dekhta hoon chhup chhup ke tumko
Mehsoos karti hogi na
Male : Jhonka hawa ka aaj bhi
Zulfein udaata hoga na
Male : Tadeva lagnam sudinam tadeva tara-balam chandra-balam tadeva
Vidya-balam daiva-balam tadeva lakshmipateramghri-yugam smarami
Shubamangal sawadhan
Male : Kaagaj pe meri tasveer jaisi
Kuchh to banaati hogi na
Ulat palat ke dekh ke usko
Jee bhar ke hansti hogi na
Hanste hanste aankhein tumhaari
Bhar bhar aati hongi na
Mujhko dhakaa tha dhoop mein jis se
Woh aanchal bhigoti hogi na
Savan ki rimjhim mera tarana
Yaad dilaati honi na
Ek ek meri baatein tumko
Yaad to aati hogi na
Yaad to aati hogi na
Yaad to aati hogi na
Male : Kya tum mere in sab sawaalon ka
Kuchh to jawaab dogi na