LYRIC

Music By : Ismail Darbar

Singers : Kavita Krishnamurthy, Kumar Sanu

Male : Aankhon ki gustakhiyan maaf hon
Ho.. aankhon ki gustakhiyan maaf hon
Ik tuk tumhein dekhti hain
Jo baat kehna chaahe zubaan
Tumse yeh woh kehti hai

Female : Aankhon ki sharm-o-haya maaf hon
Tumhein dekh ke jhukti hain
Uthi aankhein jo baat na keh sakeen
Jhuki aankhein woh kehti hain
Male : Aankhon ki, Female : aankhon ki Male : gustakhiyan maaf hon

Male : Kajal ka ik til
Tumhaare labon pe laga loon Female : la la la
Male : Haan chanda aur suraj ki
Nazron se tumko bacha loon
O.. palkon ki chilman mein
Aao main tumko chhupa loon Female : Aaahhh

Male : Khyaalon ki yeh shokhiyaan maaf hon Female : ha ha ha
Male : Hardam tumhein sochti hain
Jab hosh mein hota hai jahan
Madahosh yeh karti hain
Female : Aankhon ki sharm-o-haya maaf hon

Female : Yeh zindagi aapki hi amaanat rahegi
Dil mein sada aapki hi muhabbat rahegi Male : ey ey
In saanson ko aapki hi zaroorat rahegi Male : ey ey
Haan is dil ki nadaaniyan maaf hon
Yeh meri kahan sunti hain
Yeh pal pal jo hoti hain bekal sanam
To sapne naye bunti hain

Male : Hmm.. aankhon ki, Female : aankhon ki
Male : Gustakhiyan maaf hon
Female : Sharm-o-haya maaf hon


Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT