Ant Mein Aarambh Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Ant Mein Aarambh Song Lyrics is a track from Krishnavataram Part 1 – The Heart (Hridhayam) Hindi Film -2026, Starring Sushmitha Bhat, Siddharth Gupta, Sanskruti Jayana and Others. This song was sung by Sonu Nigam. Music was composed by Prasad Sashte and lyrics work penned by by Irshad Kamil.
Male : Ant mein aarambh hai
Aarambh mein ke ant hai
Ant mein aarambh hai
Aarambh mein ke ant hai
Male : Woh anadi hai bhi tha bhi
Hoga bhi jo har jagah anant hai
Ant mein aarambh hai
Aarambh mein ke ant hai
Male : Shunya shunya hi nahi hai
Sarjana ka mool hai
Main hi kaaya main hi maaya
Main bhayankar bhool hai
Male : Shunya mein jo main mile toh
Mann malin ho jaaye re
Shunya mein jo tu mile toh
Moksh kehlaaye re
Male : Ant mein aarambh hai
Aarambh mein ke ant hai
Ant mein aarambh hai
Aarambh mein ke ant hai
Male : Hare rama rama
Hare rama rama
Hare krishna krishna
Hare krishna krishna
Male : Na soch ke aage kya hoga
Jo hoga woh achha hoga
Yeh nav-nirmaan ki bela hai
Yeh toh rachna ka khela hai
Male : Avasaan yadi ho jaaye toh
Har baar uday bhi hota hai
Ho ghaat bhale kitna gehra
Par shikhar shikhar hi hota hai
Male : Jo mitt-ta hai mitt jaane de
Jo ghatt-ta hai ghatt jaane de
Utpann yahan utkarsh yahan
Har peed yahan aur harsh yahan
Male : {Hare rama rama
Hare rama rama
Hare krishna krishna
Hare krishna krishna} (6)
Male : Ant mein aarambh hai
Aarambh mein ke ant hai
Woh anadi hai bhi tha bhi
Hoga bhi jo anant hai
Hindi lyrics are not available for this song yet.