LYRIC

Singers : Sonu Nigam, Aftab Sabri and Hashim Sabri

Music by : Anu Malik

Male & Chorus : Ishq jaise hai ek aandhi
Ishq hai ek toofaan
Ishq ke aage bebas hai
Duniya mein har insaa
Ishq mein sab deewane hain
Ishq mein sab hairaan
Ishq mein sab kuchh mushkil hai
Ishq mein sab aasaan
Dekho pyare ye nazare ye deewane ye parvane
Hai ishq mein kaise gum

Male : Hoii..
{Tumse milke dil ka hai jo hal kya kahein
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahein} (2)

Male & Chorus : {Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa tum
Dum taaraa dum taaraa tummaa..
Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa tum} (2)

Male : Dil to hai ek raahi jaana
Dil ki tum manzil ho
Dil to hai ek kashti jaana
Jiska tum saahil ho
Dil na phir kuchh maange jaana
Tum agar haasil ho
Dil to hai mera tanha jaana
Aao tum mahfil ho

Male & Chorus : Ishq se hi saari khushiyan
Ishq se barbaadi
Ishq hai paabandi lekin
Ishq hi aazaadi
Ishq ki duniya mein yaaron
Khwaboon ki aabaadi
Kho gaya wo jisko manzil
Ishq ne dikhladi
Dekho pyare ye nazaare ye deewane ye parvaane
Hai ishq mein kaise gum

Male : Hoii..
{Tumse milke dil ka hai jo hal kya kahein
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahein} (2)

Male & Chorus : Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa tum
Dum taaraa dum taaraa tummaa..
Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa tum

Male : Tumko pooja hai
Tumhari hi ibaadat ki hai
{Hamne jab ki hai
To phir aise mohabbat ki hai…}(2)

Male : Dil mera paagal hai jaana
Isko tum bahla do
Dil mein kyun halchal hai jaana
Mujhko tum samjha do
Mahkaa jo aanchal hai jaana
Isko tum lahra do
Roop jo baadal hai jaana
Mujhpe tum barsa do

Male : Jaana le ke aaya hai
Tera ye deewana
Jaana tujhpe mit jaayega
Tera ye parwana
Jaana mere dil mein kya hai
Tune ye na jaana
Jaana tujhko yaad aayega
Mera ye afsana

Male : Hoii..
{Tumse milke dil ka hai jo hal kya kahein
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahein} (2)

Male & Chorus : {Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa tum
Dum taaraa dum taaraa tummaa..
Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa
Dum taaraa dum taaraa tum} (2)


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT