LYRIC

Singers : Yasser Desai, Shubhanshu Kesharwani, Pawni Pandey and Yash Narvekar

Music by : Yash Narvekar

Male : Huwa hai kya nahi khabar
Par kuch hai alag magar

Female : Main jaanti main kuch agar
Bata de kya ho gaya

Male : Phir hona kya hain
Main hoon tum bhi ho
Mere paas ho tum par gum bhi ho

Female : Mere ashqon ki ho tum wajah
Mere honthon ki ho hasi

Male : Teri yaadon mein main yoon kho gaya

Female : Khud se juda main bhi ho gayi

Female : Teri yaadon mein main bhi kho gayi

Male : Khud se juda main ho gaya

Male : Kabhi kahi toh hum mile
Jahan koi bhi milta nahi

Female : Hain wahi jagah woh raaste
Pehle sa kuch lagta nahi

Male : Jaane kaise nashe main
Ghuse gaye hain sawere

Female : Milte begaano se
Par lag rahe ho tum kyun mere

Male : Samjhana chahun main
Lafzon mein tumse kehna paun

Female : Tum hi bataa do kya ho gaya

Female : Phir hona kya hai
Main hoon tum bhi ho
Mere paas ho tum par gum bhi ho
Mere aashqon ki ho tum wajah
Mere honthon ki ho hasi

Both : Teri yadon mein main bhi kho gayi
Khud se judaa main yoon ho gaya


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT