LYRIC

Singer : Madhur Sharma

Music by : Swapnil Tare and Chirag Soni

Lyrics by : Kaushal Kishore

Male : Tu mere liye kya hai kya bataun
Kyun kaise dil ko samjhaun
Tu khilte phoolon ki
Hai khushboo ke jaisa
Main hoon patjharh ki rutt sa

Male : Tu hai aasman mein
Chanda ki chandani jaisa
Main hoon koi tara toot ta

Male : Paye bina main khona na chaahun
Dil darta hai yaar mera
Jaanu na kaise tujhko bataun
Ke tu hi hai pyar mera

Male : Mann sawalon se hi
Bhar gaya hai aisa
Nadiyon mein pani jis tarah
Bas khayalon se hi
Khush ho jaun
Ya tujhko kar du byaan…

Male : Nazdeek aau toh door leke jaye dayra
Tu sardi ke mausam ki khushboo ke jaisa
Main hoon tapti dhoop sa
Tu gehre samandar main uthti lehron jaisa
Main kinare baitha ret sa

Male : Paye bina main khona na chaahun
Dil darta hai yaar mera
Jaanu na kaise tujhko bataun
Ke tu hi hai pyar mera
Pyar mera…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT