LYRIC

Singers : Shubha Mudgal and Gulzar

Music by : Debojyoti Mishra

Female : Piya tora kaisa abhimaan
Piya tora…aa…kaisa abhimaan

Male : Kisi mausam ka jhonka tha
Jo is deewar par latki hui
Tasveer tirchhi kar gaya hai
Gaye saawan mein yeh deewarein
Yoon seeli nahin thi
Na jaane is dafaa kyun
Inmein seelan aa gayi hai
Daraarein pad gayi hain
Aur seelan is tarah behti hai jaise
Khushka rukhsaaron pe geele
Aansu chalte hain

Female : Sagan saawan laayi kadam bahaar
Mathura se doli laaye chaaron kahaar
Nahin aaye… nahin aaye
Kesariya balma hamaar
Angna bada sunsaan

Male : Yeh barish gungunaati thi
Isi chchat ki munderon par
Yeh barish gungunaati thi
Isi chhat ki munderon par
Yeh ghar ki khidkiyon ke kaanch par
Ungli se likh jaati thi sandese
Bilakhti rehti hai baithi hui
Ab band roshandanon ke peechhe

Female : Apne nayan se neer bahaaye
Apni jamuna khud aap hi banaave
Apne nayan se neer bahaaye
Apni jamuna khud aap hi banaave

Male : Dopahrein aisi lagti hain
Bina moharon ke khaali khaane rakkhe hain
Na koi khelane wala hai baazi
Na koi chaal chalta hai

Female : Laakh baar usmein hi nahaaye
Poora na hoyi asnaan
Phir poora na hoyi asnaan
Sookhe kes rookhe bhes, manva bejaan

Male : Na din hota hai ab na raat hoti hai
Sabhi kuchh ruk gaya hai
Woh kya mausam ka jhonka tha
Jo is deewar par latki hui
Tasveer tirchhi kar gaya hai

Female : Piya tora kaisa abhimaan
Tora…aa… piya tora..tora….aa….toraaa…
Kaisa abhimaan…
Piya tora…tora..tora….aa…
Toraaa… kaisa abhimaan…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT