LYRIC

Singer : Falak Shabir

Music by : Amaal Mallik

Male : Kya tujhe ab ye dil bataye
Tujhpe kitna mujhe pyar aaye
Aansuon se likhdun main tujhko
Koi mere bin padh hi na paye

Male : Yoon rahun chup kuch bhi na bolun
Barso lambi neende so lun
Jin ankhon mein tu rehta hain
Saddiyon taq wo aakhein na kholun

Male : Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khali karde

Male : Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khali karde

Male : Jis sham tu naa mile
Wo sham dhalti nahi
Aadat si tu ban gayi hai
Aadat badalti nahi

Male : Kya tujhe ab ye dil bataye
Tere bina kyu sans na aaye
Aansuon se likhdun main tujhko
Koi mere bin padh hi naa paye

Male : {Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khaali kar de} (3)

Male : {Haathon se girne lagi
Har aarzoo har dua
Sajde se main utth gaya
Jis pal tu mera huaa} (2)

Male : Kya tujhe ab ye dil bataye
Kyun teri bahon mein hi chain aaye
Aansuon se likhdun main tujhko
Koi mere bin padh hi na paaye

Male : {Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khali karde} (3)


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT