LYRIC

Singer : Lata Mangeshkar

Music by : R. D. Burman

Female : Kuch na kaho kuch bhi na kaho
Kuch na kaho kuchh bhi na kaho
Kya kahna hai kya sunna hai
Mujhko pata hai tumko pata hai
Samay ka ye pal tham sa gaya hai
Aur is pal me koi nahi hai
Bas ek mai hu bas ek tum ho
Kuch na kaho kuchh bhi na kaho

Female : {Khoye sab pahchane
Khoye sare apne
Samay ki chhalni
Se gir girke khoye sare sapne} (2)

Female : Aur is pal me koi nahi hai
Bas ek mai hu bas ek tum ho
Kuch na kaho kuchh bhi na kaho

Female : {Hamne jab dekhe the
Sundar komal sapne
Phul sitare parbat badal
Sab lagte the apne} (2)

Female : Aur is pal me koi nahi hai
Bas ek mai hu bas ek tum ho
Kuch na kaho kuchh bhi na kaho
Kya kahna hai kya sunna hai
Mujhko pata hai tumko pata hai
Samay ka ye pal tham sa gaya hai
Aur is pal me koi nahi hai
Bas ek mai hu bas ek tum ho


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT