Ek Ladki Ko Dekha To Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Ek Ladki Ko Dekha To Song Lyrics is a track from 1942: A Love Story Hindi Film – 1994, Starring Anil Kapoor, Manisha Koirala, Jackie Shroff, Danny Denzongpa, Anupam Kher, Chandni, Pran and Others. This song was sung Kumar Sanu. Music was composed by R. D. Burman and lyrics work penned by Javed Akhtar.

 

Male : Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise khilta gulaab jaise
Shaayar ka khwaab jaise
Ujli kiran jaise
Van mein hiran jaise
Chaandni raat jaise
Naghme ki baat jaise
Mandir mein ho ek jalta diya
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

 

Male : Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise subahon ka roop jaise
Sardi ki dhoop jaise
Veena ki taan jaise
Rangon ki jaan jaise
Balkhaaye bel jaise
Lehron ka khel jaise
Khushboo liye aaye thandi hava
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

 

Male : Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise naachta mor jaise
Resham ki dor jaise
Pariyon ka raag jaise
Sangdal ki aag jaise
Sola sighaar jaise
Rasti fuhaar jaise
Aahista aahista badhta nasha
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga

 

Song Details

Official Video

Share this song:

More from 1942 : A Love Story