LYRIC

Music By : Shanker, Ehsaan, Loy

Singers : Udit Narayan, Alka Yagnik

Male : Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon woh kisi pe marte hain
Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon woh kisi pe marte hain
Jaane kyon.. jaane kyon!
Jaane kyon! jaane kyon! jaane kyon!

Male : Pyaar mein sochiye to bas gham hai
Pyaar mein jo sitam bhi ho kam hai
Pyaar mein sar jhukana padta hai
Dard mein muskurana padta hai
Zehar kyon zindagi mein bharte hain
Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon.. jaane kyon!
Jaane kyon! jaane kyon! jaane kyon!

Female : Pyaar bin jeene mein rakha kya hai
Pyaar jisko nahin woh tanha hai
Pyaar bin jeene mein rakha kya hai
Pyaar jisko nahin woh tanha hai
Pyaar sau rang leke aata hai
Pyaar hi zindagi sajata hai
Log chhup chhup ke pyaar karte hain
Jaane kyon saaf kehte darte hain
Jaane kyon.. jaane kyon!
Ho jaane kyon! jaane kyon! jaane kyon!

Male : Pyaar bekaar ki musibat hai
Female : Pyaar har tarah khoobsurat hai
Male : Ho.. pyaar se hum door hi achchhe
Female : Arre pyaar ke sab roop hain sachche
Male : Ho.. pyaar ke ghaat jo utarte hain
 Doobte hain na woh ubharte hain
Jaane kyon.. jaane kyon!
Female : Pyaar to khair sabhi karte hain
Jaane kyon aap hi mukarte hain
Jaane kyon…. jaane kyon!
Male : Jaane kyon! jaane kyon! jaane kyon!


Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT