LYRIC

Music By : Nadeem- Shravan

Singers : Abhijeet

Male : Aitbaar nahin karna, intezaar nahin karna
Aitbaar nahin karna, intezaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna

Male : Ikraar nahin karna, jaan nisaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna

Male : Manzilein bichhad gayi, raaste bhi kho gaye
Aaye phir na lautke jo deewaane ho gaye
Chaahaton ki bebasi dooriyon ke gham mile
Beqaraariyaan mili, chain yaar kam mile

Male : Beqaraar nahin karna, intezaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna

Male : Koi to vafa kare, koi to jafa kare
Kisko hai pata yahan kaun kya khata kare

Male : Aisa na ho ishq mein koi dil ko tod de
Beech raah mein sanam tera saath chhod de

Male : Izhaar nahin karna, intezaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna

Male : Aitbaar nahin karna, Intezaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna
Had se bhi zyaada tum kisi se pyaar nahin karna

Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT