Yeh Bawla Hai Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Yeh Bawla Hai Song Lyrics is a track from Nakhrewaalii Hindi Film-2026, Starring Ansh Duggal, Akash Makhi, jaKumud Mishra and Others. This song was sung by Papon. Music was composed by Tanishk Bagchi and lyrics work penned by Vayu.
Music : ………………..
Dialogue : ………………….
Male : Jaane ye mausamon ka kya karam hai
Jaade mein oon jaisa kuch naram hai
Kya hai jo dil ko aajkal bharam hai?
Male : Woh jugnu ki gintiyaa karta hai
Taaron se roz vintiyaa karta hai
Maan leta hai ye galtiyaa chupchaap hi
Tumko jo sahi lage bawla hai poora
Male : Jaane ye mausamon ka kya karam hai
Jo jaade mein oon jaisa kuch naram hai
Music : ……………………..
Male : Jaise tere siwa na baat aur koi ho padti kaan pe
Dil bhi dhadak raha hai aajkal mera nayi zubaan mein
Khayaalon mein bhari hai sirf titliyaan
Deewaaron mein khuli nayi si khidkiyaan
Male : Ye shaayari ki koshishein karta hai
Dil bas teri khwaahishein karta hai
Mujhse karta hai sifaarishein us khwaab
Tumko jo sahi lage bawla hai poora
Male : Jaane ye mausamon ka kya karam hai
Haaa aa hmmm jaade mein oon jaisa kuch naram hai
Music : ……………………..