Jane Kyun Log Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Jane Kyun Log Song Lyrics is a track from Dil Chahta Hai Hindi Film – 2001, Starring Aamir Khan, Saif Ali Khan, Akshaye Khanna, Preity Zinta, Sonali Kulkarni, Dimple Kapadia and Others. This song was sung Udit Narayan and Alka Yagnik. Music was composed by Shankar–Ehsaan–Loy and lyrics work penned by Javed Akhtar.
Male : Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon woh kisi pe marte hain
Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon woh kisi pe marte hain
Jaane kyon.. jaane kyon
Jaane kyon! jaane kyon! jaane kyon
Male : Pyaar mein sochiye to bas gham hai
Pyaar mein jo sitam bhi ho kam hai
Pyaar mein sar jhukana padta hai
Dard mein muskurana padta hai
Zehar kyon zindagi mein bharte hain
Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon.. jaane kyon
Jaane kyon jaane kyon jaane kyon
Female : Pyaar bin jeene mein rakha kya hai
Pyaar jisko nahin woh tanha hai
Pyaar bin jeene mein rakha kya hai
Pyaar jisko nahin woh tanha hai
Pyaar sau rang leke aata hai
Pyaar hi zindagi sajata hai
Log chhup chhup ke pyaar karte hain
Jaane kyon saaf kehte darte hain
Jaane kyon.. jaane kyon
Ho jaane kyon jaane kyon jaane kyon
Male : Pyaar bekaar ki musibat hai
Female : Pyaar har tarah khoobsurat hai
Male : Ho.. pyaar se hum door hi achchhe
Female : Arre pyaar ke sab roop hain sachche
Male : Ho.. pyaar ke ghaat jo utarte hain
Doobte hain na woh ubharte hain
Jaane kyon.. jaane kyon
Female : Pyaar to khair sabhi karte hain
Jaane kyon aap hi mukarte hain
Jaane kyon…. jaane kyon
Male : Jaane kyon jaane kyon jaane kyon