Kya Kamaal Hai Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Kya Kamaal Hai Song Lyrics is a track from Main Vaapas Aaunga Hindi Film -2026, Starring Sharvari, Diljit Dosanjh, Naseeruddin Shah and Vedang Raina. This song was sung by Diljit Dosanjh. Music was composed by A. R. Rahman and lyrics work penned by Irshad Kamil.

 

 

Male : Yeh chehre mehke hai
Aur ye yeh nagmein bikhre hai
Aur ye dilfareb si hai raunaq e jahan
Dilfareb hai yeh saari chahat e jahan

 

Male : Na koi khafa na bewafa hai yahan
Na koi juda na gumshuda hai yahan
Kya kamaal hai
Kya kamaal hai
Na musibatein na malaal hai

 

Male : Saara jag ye lagta dukh se khaali
Rangaa Li khushiyon mein khush haali
Saare sadmein rehte apni hadd mein
Ye kadd mein chhote phoolon se bhi chhote
Dukkhon wale sikke khote
Chhote phoolon se bhi chhote
Sikke dukkhon ke sabhi ke khote
Na chalte the na chalne hain yahan

 

Male : Na koi veham na bereham hai yahan
Na koi zulam na hi zakham hai yahan
Kya kamaal hai
Kya kamaal hai
Na shikaytein na sawaal hai

 

Male : Yaara… sun le o yaara
Jhagdon ka maara bewajah
Saara…. jalta jahan ye
Tera mera hai milke bacha lein isey

 

Male : Na sharafaton ka zawaal hai
Na mohabbaton ka akaal hai
Ho o o kya kamaal hai….kamaal hai
Kya kamaal hai….kamaal hai

Chorus : Ho o o kya kamaal hai….

Male : Hoo kamaal hai

Humming : ………………..

Male : Kya kamaal hai…(2)

Humming : ………………..

Male : Ho o o kya kamaal hai….kamaal hai
Kya kamaal hai….kamaal hai

Humming : ………………..

Male : Ho o o kya kamaal hai…

Song Details

Official Video

Share this song:

Never miss a beat.

Get the latest hits, new lyricist additions, and trending songs delivered straight to your inbox.