Dil Diya Hai Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Dil Diya Hai Song Lyrics is a track from Sangram Hindi Film -1950, Starring Ashok Kumar, Nalini Jaywant, Nawab, Samson, Tiwari, Sajjan and Baby Tabassum. This song was sung by Lata Mangeshkar. Music was composed by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) and lyrics work penned by Raja Mehdi Ali Khan.
Female : Dil diya hai aapne to
Meharbaani aapki
Meharbaani aapki
Ham na ab waapas karenge
Ye nishaani aapki
Ye nishaani aapki
Chorus : Dil diya hai aapne to
Meharbaani aapki
Meharbaani aapki
Female : Shukriya kahke ham
Is tohfe ko karte hain qubool
Shukriya kahke ham
Is tohfe ko karte hain qubool
Jaan se pyaara hai hamein
Baag e mohabbat ka ye phool
Jaan se pyaara hai hamein
Baag e mohabbat ka ye phool
Ham to kis qaabil na the
Ye qadrdaani aapki
Meharbaani aapki
Chorus : Dil diya hai aapne to
Meharbaani aapki
Meharbaani aapki
Ham na ab waapas karenge
Ye nishaani aapki
Ye nishaani aapki
Female : Aap aaye meri duniya
Meri inaayat shukriya
Haa aaa aaa
Aap aaye meri duniya
Meri inaayat shukriya
Muskuraahat lab pe
Aankhon mein mohabbat shukriya
Muskuraahat lab pe
Aankhon mein mohabbat shukriya
Kab huaa maaloom
Zindagani aapki
Meharbaani aapki
Chorus : Dil diya hai aapne to
Meharbaani aapki
Meharbaani aapki
Ham na ab waapas karenge
Ye nishaani aapki
Ye nishaani aapki
Hindi lyrics are not available for this song yet.