Chahun Main Ya Naa Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Chahun Main Ya Naa Song Lyrics is a track from Aashiqui 2 Hindi Film – 2013, Starring Aditya Roy Kapur, Shraddha Kapoor, Shaad Randhawa and Mahesh Thakur. This song was sung by Arijit Singh and Palak Muchhal. Music was composed by Jeet Gangulli and lyrics work penned by Irshad Kamil.

 

 

Male : Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

 

 

Female : Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

 

 

Male : Itna bata doon tujhko
Chaahat pe apni mujhko
Yun tto nahi ikhtiyaar
Phir bhi yeh socha dil ne
Ab jo laga hoon milne
Poochhu tujhe ek baar

 

 

Male & Female : Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

 

 

Male : Aisi kabhi pehle hui naa thi khwaahishein
O.. kisi se bhi milne ki
Naa ki thi koshishein
Uljhan meri suljha de
Chaahun main ya naa
Aankhon aankhon mein jataa de
Chaahun main ya naa

 

 

Female : Mere chhote chhote khwaab hain
Khwabon mein geet hain
Geeton mein zindagi hai
Chaahat hai, preet hai
Abhi main na dekhoon khwaab woo
Jin mein na tu mile
Le khole honth maine
Ab tak the jo sile

 

 

Female : Mujhko na jitna mujh pe
Utna iss dil ko tujh pe
Hone laga aitbaar
Tanha lamhon mein apne
Bunti hoon tere sapne
Tujhse hua mujhko pyaar o o..
Poochungi tujhko kabhi naa
Chaahun main ya naa
Tere khaabon mein ab jeena
Chaahun main kyun naa!

 

 

Male : Tu hi yeh mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

 

 

Song Details

Official Video

Share this song: