LYRIC

Singer : Srinivas

Music by : A. R. Rahman

Lyrics by : Gulzar

Male : Zindagi zindagi kya kami reh gayi
Aankh ki kor mein
Aankh ki kor mein kyun nami reh gayi
Zindagi zindagi kya kami reh gayi
Aankh ki kor mein kyun nami reh gayi
Tu kahan kho gayi
Tu kahan kho gayi koi aaya nahi
Dopehar ho gayi koi aaya nahi
Zindagai zindagi….

Male : Din aaye din jaaye
Sadiyan bhi gin aaye.. sadiyan re
Tanhai lipti hai
Lipti hai sanso ki ….rasiya re

Male : Tere bina badi pyasi hai
Tere bina hai pyasi re
Naino ki do sakhiyan re tanha re
Mein tanha re

Male : Zindagi zindagi kya kami reh gayi
Aankh ki kor mein..kyun nami reh gayi
Zindagi zindagi

Male : Subah ka kohara hai
Shaam ki dhool hai.. tanhai hai
Raat bhi jard hai
Dard hi dard hai… ruswai hai

Male : Kaise kaate sanse uljhi hain
Raaten badi jhulsi jhulsi hain
Naina kori sadiya re …tanha re
Mein tanha re

Male : Zindagi zindagi kya kami reh gayi
Aankh ki kor mein kyun nami reh gayi
Zindagi zindagi kya kami reh gayi
Aankh ki kor mein kyun nami reh gayi
Tu kahan kho gayi
Tu kahan kho gayi koi aaya nahi
Dopehar ho gayi koi aaya nahi
Zindagi zindagi kya kami reh gayi
Aankh ki kor mein kyun nami reh gayi


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT