LYRIC

Singers : Farhan Akhtar and Shraddha Kapoor

Music by : Shankar-Ehsaan-Loy

Female : Neela aakash jo ik samandar hai
Usmein kahi koi aisa sitara bhi hai
Jisme dusri ik duniya ho basi
Jisme ho jaagti zindagi

Female : Par humse alag humse judaa
Ik nishaan bhi na ho jahan dard ka
Jeena jahan ho nahi mushkil

Female : Koi rota na ho chain khota na ho
Ho yeh sabko yakeen
Koi tanha nahin
Na kabhi toote kisi ka dil

Female : Woh jahaan
Koi dukh ho na ho koi gham
Woh jahaan palke na hon nam
Dilo mein hona deewarein na dooriyan
Woh jahan poore ho armaan

Female : Sabko ho ye pata
Sab dilon mein
Mohabbat ek gehri dhara bhi hai
Neele aakash mein
Koi aisa sitara bhi hai

Male : Neele aakash ke iss samandar ka
Chaand ki kashti mein maine kiya hai safar
Dhoondti ho agar tum jo duniya haseen
Woh duniya hai yahi
Woh yahi hai kahi

Male : Haan magar uske chehre par
Nafrat ki zulm ki
Ik dhool hai jam gayi
Haan magar uske tann pe lipti
Lalach ki hai zanjeer toh
Woh duniya aate aate tham gayi

Male : Uske chehre se
Yeh dhool hatt jaaye toh
Uske tan se ye zanjeer kat jaaye toh
Dekhna phir yahaan
Is zameen par hi hogi woh duniya

Male : Woh jahan
Koi dukh ho na ho koi gham
Woh jahan palke na hon nam
Dilon mein hona deewarein na dooriyan
Woh jaha poore ho armaan

Male : Muskurati ho chehron pe ik roshni
Zindagi ho mohabbat bhari zindagi


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT