Waqt Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Waqt Song Lyrics is a track from Paradox Hindi Album-2026, Starring Paradox. This song was sung by Paradox. Music was composed by An1k8t and lyrics work penned by Paradox.

 

 

 

Male : Yee yee yee hmmm mmm mm

 

Male : Ae waqt thehar ja zara..aaa
Abhi unse na milna hua…aaa
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha…aaa

 

Male : Ae waqt thehar ja zara..aaa
Abhi unse na milna hua…aaa
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha..aaa

 

Male : Ae waqt thehar ja zara…aaa
Abhi unko main padh na saka…aaa
Thodi yaadein reh gayi baatein reh gayi
Jaane kya aankhon ne kaha…aaa

 

Male : {Aankhon ne kaha tha aankhon se
Ki baatein karte rahenge
Zubaan tumhari aankhon ne nahi di thi toh
Tauheen na karo

 

Male : Nikal jaate hain aaj bhi inhi raahon pe raaton mein
Pata hai nahi miloge tum
Kya karein hai shauq e aakrosh

 

Male : Kash roz tumhe bata diya hota ki nashe ne nahi
Tumhare intezaar ne mera yeh haal kiya
Kash roz tumse tumhara haal puchne ke saath saath
Bata diya hota ki mera bhi haal kya hai

 

Male : Kash tum samajh paate ki sawaal the
Par fikr thi unke peeche
Kash tum jawaab mein bas itna keh dete
Ki sawaal pasand nahi the tumhe} (Dialogue)

 

Male : Ae waqt thehar ja zara..aaa
Abhi unse na milna hua…aaa
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha…aaa

 

Male : Ae waqt thehar ja zara..aaa
Abhi unko main padh na saka..aaa
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya aankhon ne kaha…aaa

 

Male : {Keh toh diya tha magar
Nibhana kaise hai pata nahi tha shayad
Seh toh liya tha magar
Sawarna kaise hai pata nahi tha shayad
Shayad soch liya tha
Ki hum tum aur main se zyada kareeb the mere
Lekin tum aur main
Kaafi alag the pata nahi tha shayad

 

Male : Maana rihayi maine khud hi se de di thi tumhe
Lekin tum toh jadugar the na
Tum toh mutthi mein ret thaamna bhi jaante the
Haan main nadaan tha
Lekin meri nadaani tum sambhaal nahi paaye
Kyun ? tum toh sab sambhaalna jaante the} (Dialogue)

 

Male : Ae waqt thehar ja zara..aaa
Abhi unse na milna hua…aaa
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha…aaa

Male : Ae waqt thehar ja zara

Song Details

Official Video

Share this song:

Never miss a beat.

Get the latest hits, new lyricist additions, and trending songs delivered straight to your inbox.