LYRIC

Singer : Shreya Baruah

Music by : Sukrit Srivastava

Lyrics by : Bhawna Aggarwal

Female : Humming ….

Female : Moondi hui aankhein yeh
Poochhe mere khwaabon se
Dikh raha hai jo chehra
Soye na kyun raaton mein

Female : Baadalon mein jo rehta hai
Chaand voh jo kehta hai
Zyada noor hai tujh mein
Maan kar ye baitha hai

Female : Jaagti hain meri aankhein
Aasmaan se kare baatein
Wahan ho sakega
Kya ghar tera mera

Female : Mil rahe sitaare
Mere aur tumhare
Aasmaan mein ab
Aasmaan mein ab…

Female : Mil rahe sitaare
Mere aur tumhare
Aasmaan mein sab
Aasmaan mein sab

Female : Jhaankte hain khidkiyon se
Jab lage tu jag raha hai
Ek dafa bhi tu dikhe toh
Raatein ho subha

Female : Toot ke yeh waqt saare
Fursaton ko kehkashon se
Bichh gaye hin sab humare
Dil ke darmiyaan

Female : Rangeen sitaron mein bhi
Baatein teri chali
Unke hazaaron mein bhi
Tu ek dikh raha

Female : Mil rahe sitaare
Mere aur tumhare
Aasmaan mein ab
Aasmaan mein ab

Female : Mil rahe sitaare
Mere aur tumhare
Aasmaan mein sab
Aasmaan mein sab…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT