LYRIC

Singers : Hariharan and Sukhwinder Singh

Music by : Vishal – Shekhar

Male : Krodh ke bojh ko mann pe uthaye
Kaahe chalta hai prani
Kshama jo shatru ko bhi kar de
Wahi mukt hai wahi gyani

Male : Samay ka pahiya chalta hai
Din dhalta hai raat aati hai
Raat me jab ek chhota sa
Nanha sa dipak jalta hai

Male : Uski zara si jyot sahi
Par dur se usko dekh
Koi barso ka musafir
Girte girte sambhalta hai

Male : Samay ka pahiya chalta hai
Din dhalta hai
Raat aati hai
Raat me jab ek chhota sa
Nanha sa dipak jalta hai

Male : Uski zara si jyot sahi
Par dur se usko dekh
Koi barso ka musafir
Girte girte sambhalta hai

Male : Samay ka pahiya chalta hai
Din dhalta hai raat aati hai

Male : Maine jaate jaate jaana
Kaun hai apna kaun paraya
Maine jaate jaate jaana
Kaun hai apna kaun paraya

Male : Bas tu hi mera apna hai
Bas tune pyar nibhaya

Male : Kaam krodh aur lobh
Main taj kar ja sakta hu
Tujhko chahu bhi to main
Kaise bhula sakta hu
Tera pyar bhi ek bandhan hai
Tu hi bata kya main
Mukti pa sakta hu

Male : Tu nahi janta tu mera ab hai kya
Tujhko hu dekhta
To dil kaise pighalta hai
Samay ka pahiya chalta hai
Din dhalta hai raat aati hai

Male : Din me soya raat aayi to
Ab jaaga soya kab tha
Din me soya raat aayi to
Ab jaaga soya kab tha
Ab kya suraj dhundhe pagale
Dub gaya suraj kab ka

Male : Barso pehle jo thi
Ik nadi pyar ki
Beh gayi wo nadi
Haath ab tu kya malata hai

Male : Samay ka pahiya chalta hai
Din dhalta hai raat aati hai
Raat me jab ek chhota sa
Nanha sa dipak jalta hai

Male : Uski zarasi jyot sahi
Par dur se usko dekh
Koi barso ka musafir
Girte girte sambhalta hai

Male : Samay ka pahiya chalta hai
Din dhalta hai raat aati hai


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT