LYRIC

Singers : Rituraj Mohanty

Music by : Ram Sampath

Male : Sahib nazar rakhna maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna maula nazar rakhna
Tera karam sabko mile sabki fikar rakhna
Saahib nazar rakhna maula nazar rakhna

Male : Naa aadmi ki aadmi jhele gulamiyan
Naa aadmi se aadmi maange salaamiyan
Jo fark paida ho rahe woh fark gark ho

Male : Sabko barabar baant ye dharti ye aasmaan
Koi bhi na ho dard mein sabki khabar rakhna
Sahib nazar rakhna maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna maula nazar rakhna

Male : Sab sar utha ke chal sake sabko ye bal mile
Koi kisi awaaz ko daata kuchal na de
Yahan kaam bhi sabko mile aaraam bhi sabko
Mehnat kare jo aadmi mehnat ka phal mile

Male : Har bol pe har baat pe apna asar rakhna
Sahib nazar rakhna maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna maula nazar rakhna
Maula… maula…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT