Rabba Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Rabba Song Lyrics is a track from Salman Ali Official Hindi Album-2026, Starring Salman Ali and Qutee Nagpal. This song was sung by Salman Ali. Music was composed by Aamir Ali and lyrics work penned by Anjaan Sagri.

 

 

 

 

Music : …………………..

 

Male : Tanha nigaahon mein tanhaai hai
Kaisi fizaa chhaai hai
Tanha nigaahon mein tanhaai hai
Kaisi fizaa chhaai hai

 

Male : Har pal mein gham gham mein gehraai hai
Chaahat kahaan laai hai?
Dil bin tere besukoon hai tu ye jaane na
Behaal sa junoon hai tu ye maane na
Tu maane na tu maane na

 

Male : Rabba meri duaa sun le
Rabba gham se rihaa kar de
Jeena mushkil hai mera
Jeena mujhko adaa kar de

 

Male : Rabba meri duaa sun le
Rabba gham se rihaa kar de
Jeena mushkil hai mera
Jeena mujhko na kar de

 

Music : ………………..

 

Male : Mausam jo raahaton ke kal tak the saath mere
Benoor kar gaye hain ab to mere savere
Mausam jo raahaton ke kal tak the saath mere
Benoor kar gaye hain ab to mere savere

 

Male : Khwaabon ke naam se ab
Uljhan si ho rahi hai
Aankhon ki kaifiyat bhi
Saawan si ho rahi hai

 

Male : Main guzra sa kal hoon tera
Kyun apnaaye na
Wo baat mohabbat ki kyun dohraaya na
Dohraaya na dohraaya na

 

Male : Rabba meri duaa sun le
Rabba gham se rihaa kar le
Jeena mushkil hai mera
Jeena mujhko adaa kar de

 

Male : Rabba meri duaa sun le
Rabba gham se rihaa kar le
Jeena mushkil hai mera
Jeena mujhko adaa kar de…

 

Male : Heyyyy rabbaaaaa….aaaaaaaaa

 

Music : ………………..

Song Details

Official Video

Share this song:

More from Salman Ali Official