LYRIC

Singer : Altamash Faridi

Music by : Tanishk Bagchi

Lyrics by : Tanishk Bagchi

Male : Haaa..aaa….
Tera asar o bekhabar
Main kho gaya jaane kidhar
Tu mere paas hai abhi
To lamhe khass hai abhi

Male : Na jaane kab hua yakin
Ke kuch bhi tere bin nahi

Male : Na tere bin rehna ji
Na aur kuch kehna ji
Ke jagte jagte
Main umar bita loon…

Male : Kareeb aa tu iss tarah
Saanse mile do jiss tarah
Main tere sang ye safar gujarun

Male : Mile ho tum mujhe abhi
To ho gaya mujhe yakin
Kitna main tanha
Bheed mein raha hun

Male : Main zidd mein hi rehna ji
Judai nahi sehna ji
Ke haste haste
Main gum tera rodun

Male : Na ek pal chaina ji
Hai sath mein rehna ji
Ke jagte jagte
Main umar bita loon….

Male : Agar tu na mile mujhe
Main lamhe rok loon yahin
Jahaan se hum shuru huye
Main dohraun woh pal sabhi

Male : Naa tere bin rehna ji
Naa aur kuchh kehna ji
Ke jagte jagte
Main umar bita loon

Male : Tujhe main chahun is kadar
Naa chahe tu mujhe agar
Main tujhse mohabbat karta rahoonga

Male : Yeh khalipan manzoor hai
Ispe nahi tu door hai
Jahan tak dekhun tu hi dikhega

Male : Ishq tera pehna ji
Sach to yehi hai naaji
Ke behte behte main raah bana loon

Male : Naa ek pal chaina ji
Hai sath mein rehna ji
Ke jagte jagte
Main umar bita loon

Male : Main aadha jee raha yahin
Adhuri tu bhi to yahin
Kinaare wo jo na mile
Unhein milna to hai kahin

Male : Naa tere bin rehna ji
Naa aur kuchh kehna ji
Ke jagte jagte
Main umar bita loon


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT