LYRIC

Singer : Shivam Grover

Music by : Sanjeev Chaturvedi

Lyrics by : Sanjeev Chaturvedi

Male : Chaandni raat hai tu mere sath hai
Ye haqeeqat hai ya phir koi khwaab hai
Dil ki hai aarzoo dil se lag jaau yun
Qaid khwahish ko yara tum aazad kar do

Male : Mohabbat ki barsaat kar do
Mohabbat ki barsaat kar do
Qaid khwaahish ko aazaad kar do
Mohabbat ki barsaat kar do

Male : Humming …

Male : Milta tha tumse khwabon me har din
Huye aaj tum rubaroo hai mausam gulabi
Zara sa sharabi behkane lagi aarzoo
Dil pe ehsaan ek baar kar do

Male : Mohabbat ki barsaat kar do
Mohabbat ki barsaat kar do
Qaid khwaahish ko aazaad kar do
Mohabbat ki barsaat kar do

Male : Baarish ke boondon mein kaisi agan hai
Dil ye pighalne laga tod ke bandishen
Aa lipat jaao na dil ye machalne laga
Lab se chhoo kar ke beqaraar kar do

Male : Mohabbat ki barsaat kar do
Mohabbat ki barsaat kar do
Qaid khwaahish ko aazaad kar do
Mohabbat ki barsaat kar do…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT