Laadli Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Laadli Song Lyrics is a track from Dulhaniya Le Aaeegi Hindi Film-2026, Starring Khushali Kumar, Mahesh Manjrekar, Piyush Mishra and Others. This song was sung by Pratibha Singh Baghel. Music was composed by Abhishek Ray and lyrics work penned by Divyesh Mugra.
Female Chorus : Aaankhein ud jaana saave
Jag ka jaane kaisa bair
Tak rahegi munder
Ab toh pal do pal ki der
Female : Paalna jhulaaya tha
Kaandhe pe bithaaya tha
Sapno ko tune par lagaaya tha
Female : Mele mein ghumaaya tha
Bahaane se khilaaya tha
Kitne mausam laad ladaaya tha
Female : Kehte the na baba
Betiyaan kabhi parayi na hoti
Dil mein rehti hai juda nahi hoti
Female Chorus : Laadli o laadli tera ye
Laadli o laadli tera hai ye ghar
Tera hi rahega ye sada
Humming : ……………
Female Chorus : Aaankhein ud jaana saave
Jag ka jaane kaisa bair
Tak rahegi munder
Ab toh pal do pal ki der
Female : Phoolon sa savaara tha
Mujh pe hi sab vaara tha
Aasmaan ka tere main sitaara tha
Female : Yun gale lagaaya tha
Dil mera bhar aaya tha
Jeene ka saleeka sikhlaaya tha
Female and Chorus : Kehte the na baba
Betiyaan kabhi parayi na hoti
Dil mein rehti hai juda nahi hoti
Female Chorus : Laadli o laadli tera ye
Laadli o laadli tera hai ye ghar
Tera hi rahega ye sada
Ho tera hi rahega ye sada
Music : …………………
Hindi lyrics are not available for this song yet.