LYRIC

Singer : Pranav Vatsa

Music by : Vivian Richard

Lyrics by : Pranav Vatsa

Male : Main dekhun jahan har kahin
Pyar hi pyar hai
Ek tu hi nahi mere paas
Aisa kyun yaar hai

Male : Pyar barasne ka
Mausam hai yeh
Aur baahein meri
Murjhaye jaaye

Male : Tu aaye aaye
Kyun na aaye
Kyun aise mujhe
Tu sataye
Tu aaye aaye
Kyun na aaye

Male : Main jee loon
Tumhe phir zara
Saanson mein aag hai

Male : Aakhiri tu
Hi hai wajah
Aur kya khaas hai

Male : Khwab sanwarne ka
Mausam hai yeh
Aur neendein meri
Door jayein jayein

Male : Tu aaye aaye
Kyun na aaye
Kyun aise mujhe
Tu sataye
Tu aaye aaye
Kyun na aaye

Male : Kyun aashqui mein
Do dil jale hain
Aankhon mein kyun
Aayi hai nami

Male : Tanhaiyon mein
Khone lage hain
Yaadon mein tu
Meri har kahin

Male : Tere jaane se
Teri khabar tak
Mujhko hai roz
Jalaye jaaye

Male : Tu aaye aaye
Kyun na aaye
Kyun aise mujhe
Tu sataye
Tu aaye aaye
Kyun na aaye

Dialogue : Jab tak tumhari khushbu
Meri saanson mein hai
Main zinda hoon
Jab talak mere ghuzarte
Huye lamhon mein
Tumhari yaadein
Baatein mulakatein
Tab talak main zinda hoon


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT