LYRIC

Singer : Vilen

Music by : Vilen

Lyrics by : Vilen

Male : Kyun dhunde hai tu
Khud mein gam ye bata
Jab jaadu yahaan chalti fizaon mein hai
Kyun dhunde hai tu
Raat mein din ka pata
Jab masti yahan chandani raahon mein hai

Male : Kyun dekhein hai tu
Aankh bhar ek sapna
Sapne to yahaan bunte hazaron mein hain

Male : Kyun dhunde hai tu
Bheed mein ek apna
Apne to yahaan sab anjane bhi hain
Male : Kyun dhunde hai
Tu raat mein din ka pata
Jab masti yahaan chandni raahon mein hai

Male : Aur kabhi kabhi jo ashkon se mulakaat hoti hai
Wo samjhaane ko anjaani ik baat hoti hai
Armaanon ki sadak pa naa hairaan ho pyare
Jahaan tu hai wahan bhi to barsaat hoti hai

Male : Aur hoti hai joban ki phir se subah
Wo subah bhi chamakti kitaab hoti hai

Male : Ja lele tu bhi mann marzi ka maza
Kya rakha teri chaar deewaaron mein hai
Kyun dhunde hai tu
Raat mein din ka pata
Jab masti yahaan chandni raahon mein hai


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT