LYRIC

Singers : Kunal Ganjawala, Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod,
Vijay Prakash and Hariharan

Music by : Shankar-Ehsaan-Loy

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Male : Ab toh hamein aage
Badte hai rehna
Ab toh hamein saathi
Hai bas itna hi kehna

Males : Ab toh hamein aage
Badte hain rehna
Ab toh hamein saathi
Hai bas itna hi kehna

Male : Ab jo bhi ho shola banke
Pathar hai pighlaana

Male : Ab jo bhi ho baadal banke
Parbat par hai chhaana

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise
Toh dil dushman ke hilte hain

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Male : Nikle hain maidaan mein
Ham jaan hatheli par le kar
Ab dekho dam lenge ham
Jaake apni manzil par

Male : Khatron se haske khelna
Itni toh ham mein himmat hai

Male : Mode kalaai maut ki itni
Toh ham mein taaqat hai

Males : Ham sarhadon ke waaste
Lohe ki ik deewaar hai
Ham dushmanon ke waaste
Hoshiyaar hai taiyaar hai

Male : Ab jo bhi ho shola banke
Pathar hai pighlaana

Male : Ab jo bhi ho baadal banke
Parbat par hai chhaana

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Male : Josh dil mein jagaate chalo
Jeet ke geet gaate chalo

Males : Josh dil mein jagaate chalo
Jeet ke geet gaate chalo

Male : Jeet ki jo tasveer banaane
Ham nikle hain apni lahoo se
Ham ko us mein rang bharna hai

Male : Saathi maine apne dil mein
Ab ye thhaan liya hai
Ya toh ab karna hai
Ya toh ab marna hai

Male : Chaahein angaarein
Barse ke bijli gire
Tu akela nahin hoga yaara mere

Male : Koyi mushkil ho ya ho
Koyi ho morcha
Saath har mod par
Honge saathi tere

Male : Ab jo bhi ho shola banke
Pathar hai pighlaana

Males : Ab jo bhi ho baadal banke
Parbat par hai chhaana

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Male : Ik chehra aksar mujhe
Yaad aata hai is dil ko chupke
Chupke woh tadpaata hai

Male : Jab gharse koyi bhi khat
Aaya hai kaagaz ko maine
Bheega bheega paaya hai

Male : Palkon palkon pe yaadon
Ke kuch deep jaise jalte hain
Kuch sapne aise hain jo
Saath saath chalte hain

Male : Koyi sapna na toote
Koyi waada na toote
Tum chaaho jisse dil se
Woh tumse na roothhe

Male : Ab jo bhi ho shola banke
Pathar hai pighlaana

Male : Ab jo bhi ho baadal
Banke parbat par hai chhaana

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Male : Chalta hai jo ye kaarvaan
Gunji si hai ye waadiyaan

Male : Hai ye zameen ye aasmaan
Hai ye hawa hai ye sama

Male : Har raste ne har waadi ne
Har parbat ne sada di

Males : Ham jeetenge ham jeetenge
Ham jeetenge har baazi

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Chorus : {Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain

Chorus : Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh
Dil dushman ke hilte hain
Male : Chalta hai jo… ye kaarvaan…
Gunji si hai… ye waadiyaan…..}


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT