LYRIC

Music By : Ram Laxman

Singers : Lata Mangeshkar, S P Balasubrahmanyam

Chorus : O ohhh

Female : Ja ja ja ja ja ja ja ja
Kabutar ja ja ja – 3
Pehle pyar ki pehli chitthi
O o pehle pyar ki pehli chitthi
Sajan ko de aa
Kabutar ja ja ja – 4

Female : Unse kehna jabse gaye tum
Mai to adhuri lagti hu
In hontho pe chup si lagi hai
Na roti na hansti hu
Bhul hui jo unhe sataya
O o bhul hui jo unhe sataya
Aisa paap kiya
Kabutar ja ja ja – 4
Ja ja

Female : Mann hi mann me unko apna
Sab kuch maan chuki hu mai
Vo kya hai mai kaun hu
Unki ab ye jaan chuki hu mai
Unko apne sath hi lana
O o unko apne sath hi lana
Dil hi nahi lagta
Kabutar ja ja ja – 4
Ja ja

Male : Oh oh ho ho ho – 2
Yaha ka mausam bada hasin hai
Phir bhi pyar udas hai
Unse kehna door sahi mai
Dil to unhi ke paas hai
Tu ye sandesa unko sunana
O o tu ye sandesa unko sunana
Mai pichhe aaya
Kabutar ja ja ja – 4

Female : Jaha bhi dekhu tum hi tum ho
Aur nazar na kuch aaye
Male :Dil ye chahe is aalam me
Kash zamana ruk jaye

Female : Aaj se pehle kabhi nahi thi
Both : Aaj se pehle kabhi nahi thi
Itni hasin duniya


Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT