LYRIC

Singer : Shahrukh Khan

Music by : A. R. Rahman

Lyrics by : Gulzar (Sampooran Singh Kalra)

Male : Teri aankhon ki
Namkeen mastiyan
Teri hansi ki beparwaah
Gustakhiyaan
Teri zulfon ki
Leharaati angdaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Male : Tera haath se haath chhodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Male : Baarishon mein bedhadak
Tere naachne se
Baat baat pe bewajah
Tere roothne se
Chhoti chhoti teri
Bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Male : Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be-raham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT