Ishq Ki Baarish Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Singers : Javed Ali and Shreya Ghoshal
Music by : Nadeem Saifi
Female : Ishq ki baarish hai ye
Ishq ki baarish hai ye
Ishq mein bheegein yaar
Aaja mere yaar aaja mere yaar
Female : Ishq ke rang mein mausam
Ishq ke rang mein mausam
Ishq mein beda paar
Aaja mere yaar aaja mere yaar
Aaja mere yaar aaja mere yaar
Male : Mujhe teri baaton mein aana nahi
Kisi se kabhi dil lagana nahi
Pata jis gali ka pata hi na ho
Mujhe us gali mein to jana nahi
Male : Ishq mein dhoka laage
Ishq mein dhoka laage
Ishq se hai inkaar
Mere sarkar mere sarkar
Mere sarkar mere sarkar
Female : Tan hi nahi mera mann bhi gila gila
Ye mausam lagta hai kitna nasheela
Male : Tu deewani tujhko hosh na tera
Main hoon paresha ab kya hoga mera
Female : Hone de jo bhi ho
Hone de jo bhi ho
Kar mat kar bekaar
Aaja mere yaar aaja mere yaar
Aaja mere yaar aaja mere yaar
Male : Maine kis mushkil mein jaan fasayi
Mere piche meri musibat aayi
Female : Aisa dilkash mauka na aayega
Hath malega baad mein pachtayega
Male : Pyar mohabbat se na
Pyar mohabbat se na
Mera koi darkaar
Mere sarkar mere sarkar
Mere sarkar mere sarkar
Female : Ishq ki baarsih hai ye
Ishq ki baarish hai ye
Ishq mein bheegein yaar
Aaja mere yaar aaja mere yaar
Aaja mere yaar aaja mere yaar
Hindi lyrics are not available for this song yet.