Intezaar Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Intezaar Song Lyrics is a track from Paap Hindi Film – 2003, Starring Dino John Abraham, Udita Goswami and Gulshan Grover. This song was sung Anuradha Paudwal. Music was composed by Anu Malik and lyrics work penned by Ali Azmat and Sabir Zafar.

 

Female : Intezaar.. intezaar.. intezaar.. intezaar..
Intezaar.. intezaar.. intezaar.. intezaar..

 

Female : Meri subahon ko teri shaamon ka
Meri shaamon ko tere vaadon ka
Meri raaton ko tere khwabon ka
Meri neendon ko teri baahon ka
Mere jazbon ko teri chaahon ka
Behaki-behaki si kuchh khataaon ka
Khoobsurat se kuchh gunaahon ka

 

Female : Intezaar.. intezaar.. intezaar.. intezaar..

 

Female : Apne dilbar ka apne humdam ka, apne janam ka.. intezaar
Surkh phoolon se mahaka rasta hai
Dil to mera magar zard patta hai
Paas aankhon ke sabz manzar hai
Dil ka mausam to phir bhi banjar hai
Mehki-mehki si kuchh hawaon ka
Bheegi-bheegi si kuchh ghataon ka

 

Female : Intezaar.. intezaar.. intezaar.. intezaar..

 

Female : Apne baadal ka apni barish ka apne saawan ka intezar
Apni dhadkan ka apni saanson ka, apne jeene ka intezar

 

Female : Koi badli kabhi is tarah aayegi
Pyaas sadiyon ki pal mein bujh jaayegi
Tujhko lauta ke meri aagosh mein
Dekhna waqt ki nabz tham jaayegi
Aisa hone ke kuchh duaaon ka
Umra bhar jo mile un panahon ka

 

Female : Intezaar.. intezaar.. intezaar.. intezaar..

 

Female : Tere aane ka tujhko paane ka, phir na jaane ka intezaar
Tere aane ka tujhko paane ka, phir na jaane ka intezaar

 

Female : Intezaar.. intezaar.. intezaar.. intezaar..

 

Song Details

Official Video

Share this song:

More from Paap