Dar Guzar Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Dar Guzar Song Lyrics is a track from F1 Records Official Hindi Album -2026, Starring Farrhana Bhatt and Adnan Khan. This song was sung by Zuhaib Khan. Music was composed by Shabbir Ahmed, lyrics work penned by Shabbir Ahmed.
Dialogue : ………………
Male : Tu hi wajah jo ye aankhen hain nam
Wafaon ka dariya bhi hoga na kam
Labon pe mere naam jo goonjte the
Wo khamosh ab naam lete hain hum
Male : Haaa aaa aaa
Teri aankhon mein judaai ki baat saaf dikhe
Haaa aaa aaa
Teri aankhon mein judaai ki baat saaf dikhe
Kya wajah thi kyun na tera koi insaaf dikhe
Zakhm mera bharne ka bhi naam leta hi nahin
Male : Meri bheegi bheegi palken hain nam
Mere dard ka na koi marham
Laailaaj hai ishq ka ye zehar
Male : Gamapa gama pama gama garesa
Male and Chorus : Humnava mere humsafar tu
Baat saari dar guzar kar
Chhod shikwa aur shikayat
Baat saari dar guzar kar
Male : Jeet bhi tu haar bhi tu
Haal-e-dil ka khayal bhi tu
Male : Gamapa gama pama gama garesa
Male : Haaa aaa aaa aaaa aaaa
Male : Mere jahan ke aasmaan ka tu sitara ho gaya
Ishq mera teri jaanib phir dobaara ho gaya
Male : Haaa aaa aaa aaaa aaaa
Male : Mere jahan ke aasmaan ka
Tu sitara ho gaya
Ishq mera teri jaanib
Phir dobaara ho gaya
Male : Haaa aaa aaa aaaa aaaa
Male : Mere jahan ke aasmaan ka tu sitara ho gaya
Ishq mera teri jaanib phir dobaara ho gaya
Male : Jo na kabhi hum keh sake
Lafz adhoore wo rahe
Hanste hue rote hain hum
Male : Meri bheegi bheegi palken hain nam
Mere dard ka na koi marham
Laailaaj hai ishq ka yeh zehar
Male : Gamapa gama pama gama garesa
Male and Chorus : Humnava mere humsafar tu
Baat saari dar guzar kar
Chhod shikwa aur shikayat
Baat saari dar guzar kar
Music : ………………..
Male : Humein hai pata ye naraazgi jaayaz bhi hai
Jaayaz bhi hai
Mujhse yun muh pher lena naajaayaz hi hai
Naajaayaz hi hai
Male : Saza meri kam kyun hoti nahin
Wafaon mein meri bata kya kami
Sun le tu dil ki sada
Male and Chorus : Deedaar se milta aaraam hai
Is bewafaai ka kya naam hai
Hairat mujhe hai teri baaton pe
Wajah tum ho jo ishq badnaam hai
Male and Chorus : Humnava mere humsafar tu
Baat saari dar guzar kar
Chhod shikwa aur shikayat
Baat saari dar guzar kar
Male and Chorus : Humnava mere humsafar tu
Baat saari dar guzar kar
Chhod shikwa aur shikayat
Baat saari dar guzar kar
Hindi lyrics are not available for this song yet.