LYRIC
Singer : Ravi Mishra
Music by : Sunny M. R.
Lyrics by : Irshad Kamil
Chorus : Tu kahan le jaye jaan hi na paye
Mod aise aaye gori tere aage peechhe
Tu kahan le jaye jaan hi na paye
Mod aise aaye gori tere aage peechhe
Male : Zindagani bewafa
Mashooq tu kehlayi
Manzilon ko tu chhupa le
Raah mein bhatkaye
Male : Maine bhi tujhe sataya hai bada
Tune bhi mujhe banaya hai bada
Bewafa mashooqa tu kabhi na
Kaboo mein kisi ke aaye
Male : Tu kahan le jaye jaan hi na paye
Mod aise aaye gori tere aage peechhe
Chorus : Tu kahan le jaye jaan hi na paye
Mod aise aaye gori tere aage peechhe
Male : Tere tevar teekhe teekhe
Koi nakhra tumse seekhe
Dhoka deke hassti hai tu
Jeene wala chaahe cheekhe
Male : Jhooth tere waade
Arzoo mita de
Dil mein jo lagi ho
Woh aag hi bujha de
Male : Saari zindagani bewafa
Mashooq tu kehlayi
Raaston ko raaston se
Khoob tu uljhaye
Male : Maine bhi tujhe jalaya hai bada
Tune bhi mujhe bujhaya hai bada
Bewafa mashooqa tu kabhi na
Kaboo mein kisi ke aaye
Male and Chorus : Tu kahan le jaye jaan hi na paye
Mod aise aaye gori tere aage peechhe
Tu kahan le jaye jaan hi na paye
Mod aise aaye gori tere aage peechhe
No comments yet