LYRIC

Singers : Payal Dev and Stebin Ben

Music by : Payal Dev

Lyrics by : Kunaal Vermaa

Female : Yaad aa jaati hai mujhe woh teri hansi
Mushkura jaati hai khud yeh palkein meri

Male : Yaad aa jaati hai mujhe woh teri hansi
Mushkura jaati hai khud yeh palkein meri

Female : Kabhi aisa bhi hota hai
Bhula deti main tujhko
Magar boondein meri har
Koshish barbaad karti hai..

Male : Tumhe baarish bada yaad karti hai
Tumhe baarish bada yaad karti hai
Aaj bhi mujhse teri baat karti hai
Tumhe baarish bada yaad karti hai

Female : Tumhe baarish bada yaad karti hai
Aaj bhi mujhse teri baat karti hai
Tumhe baarish bada yaad karti hai

Male : Woh pehli nazar woh chehra tumhara
Jab aankhon se tumko tha dil mein utara

Female : Woh pehli nazar woh chehra tumhara
Jab aankhon se tumko tha dil mein utara

Male : Main bhoola nahi hoon
Panaahon ko teri
Woh jisme tha maine
Zamana ghuzara

Female : Bichhadne se pehle tera
Woh mujhse lipat jaana
Woh bebas nigahein meri
Ab tak fariyaad karti hai

Male : Tumhe baarish bada yaad karti hai
Tumhe baarish bada yaad karti hai

Female : Aaj bhi mujhse teri baat karti hai
Both : Tumhe baarish bada yaad karti hai


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT