LYRIC

Singers: Salman Ali, Muskaan

Music: Sajid-Wajid

Female : Pehla pehla ishq hua hai
Pehla tajurba, pehli dafa hai
Ho tu jo nahi to kuchh bhi nahi hai
Saanson ke chalne ki tu hi wajah hai

Male : Maange fakeer dua-e-allah
Yaar di soorat mashallah
Reet na jaanu, riwaj na maanu
Main te thehra saada banda

Male : Maange fakeer dua-e-allah
Yaar di soorat mashallah
Reet na jaanu, riwaj na maanu
Main te thehra saada banda

Male : Bechara dil mera
Mera dil tujhko hi dhoondhta rehta hai
Awara awara awara dil mera
Mera dil tujhko hi dhoondhta rehta hai

Female : Kal parson ke liye
Na to barson ke liye
Tujhko hai maanga har janam ke liye
Ho meri to duayein saari
Ho meri to wafayein saari
Jo bhi hain woh hain mere sanm ke liye

Male : Haan main bhi sajde mein jhuka kar sar
Dua mein maagta hoon tujhe
Na hogi aakhiri dum tak yeh chahat kam

Male : Awara dil mera
Mera dil tujhko hi dhoondhta rehta hai

Female : Jab na main dekhun tujhe
Jab na main socun tujhe
Mere din dhale, na meri raat ho
Koyi bhi zamana aaye
Koyi bhi thikana aaye
Koyi sang ho na ho tera sath ho

Male : Teri yaadon ke saaye mein
Main ik-ik pal bitata hoon
Kahin jaaun tere charcha, teri baat ho

Female : Awara dil mera
Mera dil tujhko hi dhoondhta rehta hai
Male : Awara awara awara dil mera
Mera dil tujhko hi dhoondhta rehta hai


Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT