Ansoon Bahane Wale Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Ansoon Bahane Wale Song Lyrics is a track from Badal Hindi Film -1951, Starring Madhubala, Prem Nath, Poornima, Hiralal, Randhir, Anand Pal, Laxman Rao, Agha, S. Nazir and Others. This song was sung by Lata Mangeshkar. Music was composed by Shankar–Jaikishan and lyrics work penned by Hasrat Jaipuri.
Female : Duniya badal rahi hai
Ansoon bahane wale
Ansoon bahane wale
Toofaan aansuon ka
Palakon mein ab chhupa le
Ansoon bahane wale
Female : Dil mera tujh se bole
Aansu bana le shole
Dil mera tujh se bole
Aansu bana le shole
Ummeed ki kiran se
Ye dil ka daag dho le
In gam ki aandhiyon mein
Man ke diye jala le
Ansoon bahane wale
Toofaan aansuon ka
Palakon mein ab chhupa le
Ansoon bahane wale
Female : Ab door kar andhera
Chamakega phir savera
Ab door kar andhera
Chamakega phir savera
Tujhase nazar mila kar
Bhar aaya dil bhi mera
Ujadi jawaaniyon se
Bigadi ko tu bana le
Aansu bahaane waale
Toofaan aansuon ka
Palakon mein ab chhupa le
Ansoon bahane wale
Female : Tu bhi to ab badal ja
Ye waqt hai sambhal ja
Tu bhi to ab badal ja
Ye waqt hai sambhal ja
Rokega kaun tujhako
Ek teer ban ke chal ja
Main dil ka saaz chhedoon
Tu sukh ke geet ga le
Ansoon bahane wale
Toofaan aansuon ka
Palakon mein ab chhupa le
Ansoon bahane wale
Hindi lyrics are not available for this song yet.