LYRIC

Singer : Raftaar

Music by : Amit Trivedi

Lyrics by : Rakesh Kumar (Kumaar)

Male : Jaadu hai jubaan bas mein karlu jaan
Toh kaampe aatma aisa main shaitaan
Tantar na mantar na koi antar
Mujhse hai balwaan aisa main shaitaan

Male : Kaali raaton ka kala saya hu
Kaal mere bas mein kaali maya hu
Meri ichha se dunia chalti hai
Mere bas mein kathputli ki jaan

Male : Aisa main shaitaan
Aisa main shaitaan
Aisa aisa aisa aisa aisa aisa…

Male : Mere jaisa koi kabhi na hua hai
Meri shaktiyon mein pareton ki dua
Na hi main mita tha na hi na hi main mitunga
Mera toh mukaddar dekho maine hi likha

Male : Main shikari sab pe bhaari
Chedoge jo tum jaagega haiwaan
Sabke andar hi soya hai shaitaan
Kabze mein shaitaan na kar paya insaan
Isliye insaan fir banta shaitaan

Male : Kaali raaton ka kala saya hu
Kaal mere bas mein kaali maya hu
Tum khilone ho tumse khelunga
Khel khel mein pahuncha du shamshaan

Male : Aisa main shaitaan
Aisa main shaitaan
Aisa aisa aisa aisa aisa aisa…
Aisa main shaitaan
Aisa aisa aisa aisa aisa aisa…
Aisa main shaitaan


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT