LYRIC

Singers : Udit Narayan and Alka Yagnik

Music by : Shankar-Ehsaan-Loy

Male : Agar main kahoon mujhe
Tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai
Toh kya kahogi

Male : Agar main kahoon mujhe
Tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai
Toh kya kahogi

Female : Main tumse kahoongi
Is baat ko agar tum
Zara aur saja ke kehte
Zara ghooma-phira ke kehte
Toh achcha hota

Male : Agar main kahoon
Tumko jab dekhoon
Lagti ho jaise nayi
Honthh hain pankhadi phool ki
Aankhein jaise jugnu chamke huwe
Soche mera ye dil dhadakte huwe

Male : Agar main kahoon…
Agar main kahoon ye jo chehra hai
Jaise koyi chaand hai toh kya kahogi

Female : Main tumse kahoongi
Mujhko bhoole se bhi
Chaand tum na kaho
Chaand mein toh kayin daag hai
Mujhe phool na kehna
Woh murjhaate hain
Jugnu bhi na kehna
Woh kho jaate hain

Female : Ye baatein puraani hai
Jo mujhko sunaani hai
Kissi aur adaa se kehte
Zara ghooma-phira ke kehte
Toh achcha hota

Male : Agar main kahoon mujhe
Tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai
Toh kya kahogi

Male : Agar main kahoon
Baatein sunke tumhaari
Main hairaan hoon
Jo bhi kehna hai kaise kahoon
Lagta tumhein kuchh
Bhi achcha nahin
Sach ko bhi kehti ho sachcha nahin

Female : Agar main kahoon..
Agar main kahoon tumhein
Pata nahin hai kyun
Hai pyaar mujhe bhi
Tumse toh kya kahoge

Male : Main tumse kahoonga
Mere dil ka hai ye kehna
Ham ko hai saath mein rehna
Female : Ye dono ke dil mein hai na
Toh phir kyun kehna

Male : Agar main kahoon
Female : Toh main tumse kahoongi….


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT